30 din ke Roze, ibadat aur sabr ke baad Eid ek bade tyohaar ke roop mein manai jati hai.

Subah jaldi uth kar Eid ki namaz padhna aur Allah ka shukar ada karna ek zaroori hissa hai.

Eid se pehle Zakat-ul-Fitr (Fitrah) dena har musalman par wajib hai taaki gareeb bhi Eid mana sake.

Is din meethi cheezein, jaise seviyan, sheer khurma, aur meethi roti, khaane ka ek khaas hissa hoti hain.

Log naye aur ache kapde pehente hain, aur gharon ko sajate hain taaki Eid ka jashn khas bane.

Log ek doosre ko "Eid Mubarak" kehkar mubarakbaad dete hain aur gale milte hain.

Bachchon ko Eidi (tohfa ya paise) diye jaate hain, jo unki Eid ki khushi ko aur badha deta hai.

Is din log apne rishtedaron, doston aur padosiyon se milne jaate hain aur pyaar badhate hain.

Eid-ul-Fitr sirf ek tyohaar nahi, balki ek global celebration hai jisme har mulk ke musalman ibadat, pyaar aur khushi ka izhar karte hain.

Ramzan ke chand ke dekhe jaane ke baad, Eid-ul-Fitr 2025 expected hai 30 March ya 31 March ko, depending on moon sighting.